Posts

Showing posts from September, 2016

Kashmakash

Image
Na janey kya soch raha hai ye dil, Na janey kya chah raha hai ye pal, Nazar milaney se tu kyu ghabra raha hai, Khud se nazrein chura key akhir kya pa raha hai. Aj tujhe sab bata kar kya sab pa lu, Ya aj fir jhut bol ke sab gawa du. Tujhe paney ki chah kyu apne sath, Tujhe khoney ka dar sang la raha hai. Zindgi hai aur sang mei kantey bhi, Thodi umeed toh hai, sab dhul nahi. Kyu ye pal kuch adhura sa lagta hai, Kya koi lamha in ankho ko tarsa raha hai. Kuch toh bata dey tu kya chah raha hai, Khud se hi aj kyu ghabra raha hai. Thoda sehma hai tu par darpok nahi, Akela toh hai par bechara nahi. Andar jazba toh hai par junoon nahi, Sab theek toh hai fir bhi sukoon nahi. Himmat hai sirf bebasi nahi, Kaha se bayan karu kuch pata nahi. Chal uth bandey aj fir kar ley tu khud se kuch wadey, Bhula dey unhe adhurey reh gaye jo sapne. Zindgi ek kashmakash toh hai par sab rahsya nahi, Aj khud ko apna ke toh dekh, fir khushiyan dur nahi.